asbab kahan jaan-e-jahan dekhte rahna
KHali koi dam hai ye makan dekhte rahna
ta-umr tere shahr mein rahna bhi nahin hai
milti hai kahan ja-e-aman dekhte rahna
palkon pe koi hai lab-e-izhaar ki surat
rakhta hun main KHanjar pe zaban dekhte rahna
aansu mere bachchon ki tarah KHun se khelen
kuchh khel nahin ghar ka ziyan dekhte rahna
ek arsa-e-jaan tak hi ye manzar nahin mauquf
phir qissa-e-alam hai dhuan dekhte rahna
bauchhaar hai tiron ki wo rahwar akela
kitna hai shitabi ye saman dekhte rahna
duniya kisi maqtal mein hai zindon ki gawahi
jate hain kahan pir o jawan dekhte rahna
hogi kisi manjdhaar ke sine pe meri naw
dariya hai mere sath rawan dekhte rahna
tarik ufuq par wo ajab shan se nikla
'KHurshid' se raushan hai jahan dekhte rahna
Ghazal
Asbab kahan jaan-e-jahan dekhte rahna
Khursheed Akbar