asbab-e-zindagi ki har ek chiz hai garan
bas ek zindagi hai ki arzan hai aaj-kal
mashshatgi-e-falsafa-e-maghribi na puchh
zulf-e-KHayal aur pareshan hai aaj-kal
sar-rishta-e-KHayal hua ja raha hai gum
kuchh aisi uljhanon mein musalman hai aaj-kal
qudrat ki rahbari ke tariqe ajib hain
yani libas-e-kufr mein iman hai aaj-kal
be-zahmat-e-shikar hi khaega kya unhen
kyun gurg bakriyon ka nigahban hai aaj-kal
ranai-e-KHayal ki gul-kariyan gain
bas hum hain aur KHwab-e-pareshan hai aaj-kal
malum ho raha hai ki manzil qarib hai
kuchh tez-rau si umr-e-gurezan hai aaj-kal
Ghazal
Asbab-e-zindagi ki har ek chiz hai garan
Fazl Ahmad kariim Fazli