asbab-e-hast rah mein luTana paDa mujhe
phir KHali hath dahr se jaana paDa mujhe
sab log tere shahr ke mazi-parast the
mushkil se haal mein unhen lana paDa mujhe
pahle banae aankh mein KHwabon ke maqbare
phir hasraton ko dil mein dabana paDa mujhe
mujh ko to KHair KHana-badoshi hi ras thi
tere liye makan banana paDa mujhe
kuchh aur jab raha na zariya maash ka
kandhon pe bar-e-ishq uThana paDa mujhe
duniya ye ghumti rahe parkar ki tarah
ek daera zamin pe banana paDa mujhe
ek din ye ji mein aai wo aankhen hi phoD dun
jin ke liye azab uThana paDa mujhe
apne muamle mein hi shiddat-pasand thi
apne liye hi jaan se jaana paDa mujhe
Ghazal
Asbab-e-hast rah mein luTana paDa mujhe
Sidra Sahar Imran