اردو हिंदी
Asar na ho to usi nutq-e-be-asar se kah | Shaahi Shayari
asar na ho to usi nutq-e-be-asar se kah

Ghazal

Asar na ho to usi nutq-e-be-asar se kah

Shaanul Haq Haqqi

;

asar na ho to usi nutq-e-be-asar se kah
chhupa na dard-e-mohabbat jahan bhar se kah

jo kah chuka hai to andaz-e-taza-tar se kah
KHabar ki baat hai ek gosh-e-be-KHabar se kah

chaman chaman se ukhaD kar rahega pa-e-KHizan
rawish rawish ko jata de shajar shajar se kah

bayan-e-shauq nahin qil-o-qal ka mohtaj
kabhi fughan mein ada kar kabhi nazar se kah

wazir o mir ke kya gosh-e-be-asar se KHitab
murad dil ki gadayan-e-rahguzar se kah

shabab-e-tishna ki KHun-bar noshiyon ko na bhul
mere fasana-e-rangin ko peshtar se kah

safar se shart-e-hayat aur jihat hai shart-e-safar
pukar kar ye rafiqan-e-ham-safar se kah