اردو हिंदी
Asar meri zaban mein nahin raha | Shaahi Shayari
asar meri zaban mein nahin raha

Ghazal

Asar meri zaban mein nahin raha

Aqeel Shadab

;

asar meri zaban mein nahin raha
wo tir ab kaman mein nahin raha

hai pattharon ka qarz us ke dosh par
jo kanch ke makan mein nahin raha

alaw sard ho gae hayat ke
rachao dastan mein nahin raha

tha jis pe meri zindagi ka inhisar
usi ka nam dhyan mein nahin raha

guman hi asasa tha yaqin ka
yaqin hi guman mein nahin raha

hua jo sahl us ke ghar ka rasta
maza hi kuchh takan mein nahin raha

na ki kabhi bhi fikr main ne sud ki
kabhi bhi main ziyan mein nahin raha

wo kho gaya ghubar-e-gard-e-rah mein
jo shaKHs imtihan mein nahin raha

KHamoshiyon ne bhar diya KHalaon ko
suKHan wo darmiyan mein nahin raha

taDap uThe jise KHaridne ko dil
wo mal hi dukan mein nahin raha