اردو हिंदी
Asar mein dekhiye ab kaun kam nikalta hai | Shaahi Shayari
asar mein dekhiye ab kaun kam nikalta hai

Ghazal

Asar mein dekhiye ab kaun kam nikalta hai

Shuja Khaavar

;

asar mein dekhiye ab kaun kam nikalta hai
idhar se tegh udhar se qalam nikalta hai

firaq mein to nikalti thi jaan waise bhi
par aaj wasl mein hairat se dam nikalta hai

khaDa hua hai adu ka muamla aise
bayan kije to pahlu-e-dam nikalta hai

main rose jis ke taghaful ka rona rota hun
wo shaKHs ghaur se dekhe to dam nikalta hai

jo dam milte hain becho mata-e-fan ko 'shuja'
ye mal in dinon waise bhi kam nikalta hai