اردو हिंदी
Asar kijiye kya kidhar jaiye | Shaahi Shayari
asar kijiye kya kidhar jaiye

Ghazal

Asar kijiye kya kidhar jaiye

Meer Asar

;

'asar' kijiye kya kidhar jaiye
magar aap hi se guzar jaiye

kabhu dosti hai kabhu dushmani
teri kaun si baat par jaiye

mera dil mere hath se lijiye aur
sitam hai mujhi se mukar jaiye

kai roz ki zindagani hai yan
bane jis tarah zist kar jaiye

'asar' in sulukon pe kya lutf hai
phir us be-murawwat ke ghar jaiye