asar ke pichhe dil-e-hazin ne nishan chhoDa na phir kahin ka
gae hain nale jo su-e-gardun to ashk ne ruKH kiya zamin ka
bhali thi taqdir ya buri thi ye raaz kis tarah se ayan ho
buton ko sajde kiye hain itne ki miT gaya sab likha jabin ka
wahi laDakpan ki shoKHiyan hain wo agli hi sahi shararten hain
siyane honge to han bhi hogi abhi to san hai nahin nahin ka
ye nazm-e-ain ye tarz-e-bandish suKHanwari hai fusun-gari hai
ki reKHta mein bhi tere 'shibli' maza hai tarz-e-'ali-hazin' ka
Ghazal
Asar ke pichhe dil-e-hazin ne nishan chhoDa na phir kahin ka
Shibli Nomani