اردو हिंदी
Asar kare na kare sun to le meri fariyaad | Shaahi Shayari
asar kare na kare sun to le meri fariyaad

Ghazal

Asar kare na kare sun to le meri fariyaad

Allama Iqbal

;

asar kare na kare sun to le meri fariyaad
nahin hai dad ka talib ye banda-e-azad

ye musht-e-KHak ye sarsar ye wusat-e-aflak
karam hai ya ki sitam teri lazzat-e-ijad

Thahar saka na hawa-e-chaman mein KHema-e-gul
yahi hai fasl-e-bahaari yahi hai baad-e-murad

qusur-war gharib-ud-dayar hun lekin
tera KHaraba farishte na kar sake aabaad

meri jafa-talabi ko duaen deta hai
wo dasht-e-sada wo tera jahan-e-be-buniyaad

KHatar-pasand tabiat ko sazgar nahin
wo gulsitan ki jahan ghat mein na ho sayyaad

maqam-e-shauq tere qudsiyon ke bas ka nahin
unhin ka kaam hai ye jin ke hausle hain ziyaad