asar kar ke aah-e-rasa phir gai
hua saf matla hawa phir gai
sawari teri aa ke kya phir gai
idhar ko udhar ki hawa phir gai
mere sar se tegh-e-jafa phir gai
kai bar aai qaza phir gai
gaya dew-e-gham jalwa-e-yar se
pari-zad aaya bala phir gai
ye jaan-baKHsh us jaan-satan ki hai chaal
wo aaya jo phir kar qaza phir gai
ghaDi do ghaDi ka hai tera mariz
tabib uTh gae har dawa phir gai
tu aata nahin is gali mein 'munir'
tabiat teri hum se kya phir gai
Ghazal
Asar kar ke aah-e-rasa phir gai
Muneer Shikohabadi