asar-e-ah-e-dil-e-zar ki afwahen hain
yani mujh par karam yar ki afwahen hain
sharm ai nala-e-dil KHana-e-aghyar mein bhi
josh-e-afghan-e-aza-bar ki afwahen hain
kab kiya dil pe mere pand-o-nasihat ne asar
naseh-e-behuda-guftar ki afwahen hain
jins-e-dil ke wo KHaridar hue the kis din
ye yunhi kucha-o-bazar ki afwahen hain
qais-o-farhad ka munh? mujh se muqabil honge?
mardum-e-wadi-o-kohsar ki afwahen hain
ye bhi kuchh baat hai main aur karun ghair se baat
tum na mano ki ye aghyar ki afwahen hain
kis tawaqqo pe jien 'shefta' mayus karam
ghair par bhi sitam yar ki afwahen hain
Ghazal
Asar-e-ah-e-dil-e-zar ki afwahen hain
Shefta Mustafa Khan