اردو हिंदी
Asar dekha dua jab raat bhar ki | Shaahi Shayari
asar dekha dua jab raat bhar ki

Ghazal

Asar dekha dua jab raat bhar ki

Afsar Merathi

;

asar dekha dua jab raat bhar ki
ziya kuchh kuchh hai taron mein sahar ki

hue ruKHsat jahan se subh hote
kahani hijr ki yun muKHtasar ki

taDap uTThe lahad ke sone wale
zamin ki samt kyun tum ne nazar ki

sahar dekhen ye hasrat le gae hum
bataen kya tumhein kyunkar sahar ki