'asar' ab tak fareb khata hai
teri baaton ko man jata hai
dil kaDa kar ke tujh se kuchh to kahun
ji mein sau bar ye hi aata hai
KHush guzarti nahin hai koi aan
ishtiyaq ab nipaT satata hai
dil ko wade se kal nahin hoti
roz tu aaj-kal batata hai
but-e-kafir ki be-murawwatiyan
ye hamein sab KHuda dikhata hai
dil mera tu ne hi churaya hai
nahin yun nazren kyun churaata hai
main bhi naseh use samajhta hun
go bura hai pa mujh ko bhata hai
tere dar par main kab kab aata hun
dil mujhe bar bar lata hai
nala-o-ah ko mere sun kar
kahte ho yan kise sunata hai
roz-o-shab kis tarah basar main karun
gham tera ab to ji hi khata hai
dil-e-na-qadr-dan ye gauhar-e-ashk
nit yunhi KHak mein milata hai
ji hi jata hai dam-ba-dam mera
tujh ko bawar nahin ye aata hai
shama-ru dil ye misl-e-parwana
nahaq apne tain jalata hai
teri in shoala-KHuyon ke huzur
be-tarah tujh pe ji jalata hai
kya karun aah main 'asar' ka ilaj
is ghaDi us ka ji hi jata hai
Ghazal
Asar ab tak fareb khata hai
Meer Asar