arz-o-sama kahan teri wusat ko pa sake 
mera hi dil hai wo ki jahan tu sama sake 
wahdat mein teri harf dui ka na aa sake 
aaina kya majal tujhe munh dikha sake 
main wo fatada hun ki baghair-az-fana mujhe 
naqsh-e-qadam ki tarah na koi uTha sake 
qasid nahin ye kaam tera apni rah le 
us ka payam dil ke siwa kaun la sake 
ghafil KHuda ki yaad pe mat bhul zinhaar 
apne tain bhula de agar tu bhula sake 
ya-rab ye kya tilism hai idrak-o-fahm yan 
dauDe hazar aap se bahar na ja sake 
go bahs kar ke baat biThai bhi kya husul 
dil se uTha ghilaf agar tu uTha sake 
itfa-e-nar-e-ishq na ho aab-e-ashk se 
ye aag wo nahin jise pani bujha sake 
mast-e-sharab-e-ishq wo be-KHud hai jis ko hashr 
ai 'dard' chahe lae ba-KHud phir na la sake
        Ghazal
Arz-o-sama kahan teri wusat ko pa sake
Khwaja Meer u0027Dardu0027

