arz-e-muddaa karte kyun nahin kiya hum ne
KHwahishon ko hasrat mein KHud badal diya hum ne
nit nai umidon ke Tank Tank kar paiwand
zindagi ke daman ko umr-bhar siya hum ne
ranj-o-gham uThae hain fikr-o-fan bhi pae hain
zindagi ko jitna bhi ji sake jiya hum ne
subh ka naya suraj kuchh to raushni lega
sham se jalaya hai aas ka diya hum ne
dagh-e-dil ki zardari muft hath kab aai
KHak ho ke paya hai raaz-e-kimiya hum ne
Ghazal
Arz-e-muddaa karte kyun nahin kiya humne
Ameeq Hanafi