اردو हिंदी
Arz-e-alam ba-tarz-e-tamasha bhi chahiye | Shaahi Shayari
arz-e-alam ba-tarz-e-tamasha bhi chahiye

Ghazal

Arz-e-alam ba-tarz-e-tamasha bhi chahiye

Jawad Sheikh

;

arz-e-alam ba-tarz-e-tamasha bhi chahiye
duniya ko haal hi nahin huliya bhi chahiye

ai dil kisi bhi tarah mujhe dastiyab kar
jitna bhi chahiye use jaisa bhi chahiye

dukh aisa chahiye ki musalsal rahe mujhe
aur us ke sath sath anokha bhi chahiye

ek zaKHm mujh ko chahiye mere mizaj ka
yani hara bhi chahiye gahra bhi chahiye

ek aisa wasf chahiye jo sirf mujh mein ho
aur us mein phir mujhe yad-e-tula bhi chahiye

rabb-e-suKHan mujhe teri yaktai ki qasam
ab koi sun ke bolne wala bhi chahiye

kya hai jo ho gaya hun main thoDa bahut KHarab
thoDa bahut KHarab to hona bhi chahiye

hansne ko sirf honT hi kafi nahin rahe
'jawwad-shaiKH' ab to kaleja bhi chahiye