اردو हिंदी
Arz-e-ahwal-e-dil-e-zar karun ya na karun | Shaahi Shayari
arz-e-ahwal-e-dil-e-zar karun ya na karun

Ghazal

Arz-e-ahwal-e-dil-e-zar karun ya na karun

Shuoor Balgirami

;

arz-e-ahwal-e-dil-e-zar karun ya na karun
ishq se apne KHabar-dar karun ya na karun

gosh-e-dil se kabhi wo haal sune ya na sune
wa main apne lab-e-guftar karun ya na karun

bosa ek us se jo manga to laga kahne nahin
hai shash-o-panj ki takrar karun ya na karun

kahiye ai hazrat-e-dil kya hai salah-e-daulat
yar se shikwa-e-didar karun ya na karun

phul aage na mere toD zara ai gulchin
kah tu sair-e-gul-o-gulzar karun ya na karun