arsh tak jo be-KHata jata hai ye wo tir hai
ghair samjha hai ki meri aah be-tasir hai
KHugar-e-qaid-e-wafa par khul chuka zindan ka raaz
jurm thi wo qaid ye us jurm ki tazir hai
be-gunahi se bhi baDh kar hai agar koi gunah
to saza-e-ishq pa kar KHajlat-e-taqsir hai
chhoD meri fikr ghafil ro KHud apni qaid par
jis ko tu zewar samajhta hai wahi zanjir hai
sijn o jannat donon ai kafir hain is duniya ke nam
wo azal se baKHt-e-momin ye teri taqdir hai
dar hi banti hai ai dil zina-e-meraj-e-ishq
KHwab-e-aghaz-e-mohabbat ki yahi tabir hai
ho na uljhan jab junun-e-jama-war kaamil na ho
jab talak daman hai KHar-e-dasht daman-gir hai
hath to honge qalam par nama-bar ye bhi kaha
dil chura leti hai pahlu se ye wo tahrir hai
paedari mein hai qasron se siwa kachchi si qabr
jo qayamat tak rahe qaim ye wo tamir hai
KHun-e-nahaq ka kisi ke shubah aur tum par magar
sina-e-'jauhar' mein dekho to ye kis ka tir hai
Ghazal
Arsh tak jo be-KHata jata hai ye wo tir hai
Mohammad Ali Jauhar