arsh o kursi ki KHabar lae hain lane wale
ek musa hi na the tur ke jaane wale
tur ko tum ne jalaya to baDi baat na ki
aag pani mein lagate hain lagane wale
mere marqad ko bhi aa kar kabhi Thukra jaana
are o fitna-e-mahshar ke jagane wale
ek aalam tere aashiq ne kiya KHal-e-siyah
do hi nale kiye the tur jalane wale
kab talak apne karishme hamein dikhlaoge
ai miyan roz nae tarz dikhane wale
meri taqdir jo palTe to tajjub kya hai
sunte hain bigDi banate hain banane wale
tum jo aankhon mein meri aae to ehsan kiya
aankhen kya dil mein samate hain samane wale
lakh ho mana-e-fariyaad magar kya hoga
arsh ko sar pe uTha lenge uThane wale
apni qismat nahin aisi ki ho didar 'anjum'
muntazir jin ke hain kab aaen wo aane wale
Ghazal
Arsh o kursi ki KHabar lae hain lane wale
Mirza Asman Jah Anjum