اردو हिंदी
Arsa-e-KHwab se uTh halqa-e-tabir mein aa | Shaahi Shayari
arsa-e-KHwab se uTh halqa-e-tabir mein aa

Ghazal

Arsa-e-KHwab se uTh halqa-e-tabir mein aa

Nadeem Sirsivi

;

arsa-e-KHwab se uTh halqa-e-tabir mein aa
gum-shuda roab-e-junun kasa-e-tashhir mein aa

intiha mabda-e-hasti ki fana hai ya baqa
ghaur se dekhte hain baKHt ki taswir mein aa

ai KHarabaat-e-tanaffur ke pareshan makin
gar sukun chahta hai ishq ki tamir mein aa

hiddat-e-did nigahon ki ibarat se nikal
aur yaKH-basta mere rauzan-e-tahrir mein aa

chaDh ke phir sar pe mere bole asiri ka KHumar
qaid kar le mujhe phir zulf ki zanjir mein aa

ahd-e-mazi ke KHush-aind bhaTakte lamhe
waqt aa pahuncha hai ab haal ki jagir mein aa

jal-bujhe garmi-e-anfas se donon ka wajud
gholne KHud ko mere qurb ki tasir mein aa

lazzat-e-wasl ko hasil ho zamin ki jannat
mujh se milne ke liye wadi-e-kashmir mein aa

zer-e-pa rakh ke sabhi aks-e-fusun-e-taqdir
phir jawan hone ko gahwara-e-tadbir mein aa

ai KHizan-zad agar chahta hai rizq-e-bahaar
daman-e-zist liye rauza-e-shabbir mein aa

aajizi kahne lagi gar ho bulandi ki talab
dil jhuka daira-e-nara-e-takbir mein aa

diya ugte hue suraj ne ye paigham 'nadim'
in andheron se nikal KHema-e-tanwir mein aa