arsa-e-har-do-jahan aalam-e-tanhai hai
ki jidhar dekhiye tu hai teri yaktai hai
be-niyazi hai KHud-arai hai KHud-rai hai
aap ki jaane bala kaun tamannai hai
pate hain lutf-e-hayat-e-abadi tere shahid
zabh karna tera ejaz-e-masihai hai
tum ko 'kaifi' se talluq to na hoga lekin
jaan-pahchan mulaqat shanasai hai
Ghazal
Arsa-e-har-do-jahan aalam-e-tanhai hai
Kaifi Hyderabadi