are ulTe zamane mujh pe kya sidha sitam laya
nayan mere the pi ka ghar so ru-e-hijr dikhlaya
chaman ka shahr fasl-e-gul mein jab aabaad tha 'uzlat'
saba ke rang mein gul-gasht kar hazz-e-junun paya
jo dekhun ja KHizan mein hae KHaristan o patjhaD tha
na ghunche the na gul ne bulbulen ne bed ka saya
bahut se zagh o chughdon ka tha ghul ghaughon ka ghaugha tha
falak ki jaan ko ro kar main apna sar le phir aaya
Ghazal
Are ulTe zamane mujh pe kya sidha sitam laya
Wali Uzlat