اردو हिंदी
Aql pahunchi jo riwayat ke kashane tak | Shaahi Shayari
aql pahunchi jo riwayat ke kashane tak

Ghazal

Aql pahunchi jo riwayat ke kashane tak

Ehtisham Husain

;

aql pahunchi jo riwayat ke kashane tak
ek hi rasm mili kaba se but-KHane tak

wadi-e-shab mein ujalon ka guzar ho kaise
dil jalae raho paigham-e-sahar aane tak

ye bhi dekha hai ki saqi se mila jam magar
honT tarse hue pahunche nahin paimane tak

regzaron mein kahin phul khila karte hain
raushni kho gai aa kar mere virane tak

ham-nashin kaT hi gaya daur-e-KHizan bhi aaKHir
zikr phulon ka raha fasl-e-bahaar aane tak

sari uljhan hai sukun ke liye ai shauq Thahar
gham ka tufan-e-bala-KHez guzar jaane tak

zehn mayus-e-karam shauq-e-nazara sarshaar
hosh mein kaise rahun un ka payam aane tak

zaKHm yaadon ke mahakte hain ki aai hai bahaar
hai ye daulat gham-e-dauran ki KHizan aane tak

be-niyazi hai taghaful hai ki be-zari hai
baat itni to samajh lete hain diwane tak

zindagi gham se ulajhti hi rahegi hamdam
waqt ki zulf girah-gir sulajh jaane tak

manzil-e-rah talab thi to kahin aur magar
ruk gae KHud hi qadam pahunche jo mai-KHane tak