اردو हिंदी
Aql-o-danish ko zamane se chhupa rakkha hai | Shaahi Shayari
aql-o-danish ko zamane se chhupa rakkha hai

Ghazal

Aql-o-danish ko zamane se chhupa rakkha hai

Abbas Dana

;

aql-o-danish ko zamane se chhupa rakkha hai
KHud ko danista hi diwana bana rakha hai

ghar ki viraniyan le jae chura kar koi
isi ummid pe darwaza khula rakkha hai

ban gae unche mahal un ki ibaadat gahen
nam daulat ka jahan sab ne KHuda rakkha hai

qabil-e-rashk se wo duKHtar-e-muflis jis ne
tang-dasti mein bhi izzat ko bacha rakkha hai

jis ke mahlon mein charaghon ka na tha koi shumar
us ki turbat pe faqat ek diya rakkha hai

is se baDh kar teri yaadon ki karun kya tazim
teri yaadon mein zamane ko bhula rakkha hai

surKH-ru ho gain tanhaiyan meri 'dana'
us ne kandhe pe mere dast-e-hina rakkha hai