aql ne lakh andheron mein chhupaya hai tujhe
mera wijdan magar chum ke aaya hai tujhe
wo tilismat nazar aae ki dekhe na sune
jab bhi aankhon ke charaghon mein jalaya hai tujhe
raat bhigi hai to chheDa hai tere dard ka saz
chand nikla hai to chupke se jagaya hai tujhe
main to kya waqt bhi ab chhu na sakega tujh ko
ishq ne masnad-e-yazdan pe biThaya hai tujhe
wo tera husn ki KHira thi zamane ki nazar
ye mera fan ki tera aks dikhaya hai tujhe
aaj bhi zehan mein bijli si chamak uThti hai
kaun bhola hai tujhe kis ne bhulaya hai tujhe
jagmagati hai meri ruh to main sochta hun
main ne khoya hai meri jaan ki paya hai tujhe
Ghazal
Aql ne lakh andheron mein chhupaya hai tujhe
Noor Bijnauri