aql kitni shuur kitna hai
phir bhi tujh ko ghurur kitna hai
har koi tujh se dur kitna hai
is mein tera qusur kitna hai
miThi miThi tumhaari baaton ke
pas-e-parda futur kitna hai
hum ko taufiq hi nahin hoti
ghar tera warna dur kitna hai
ye to ahl-e-junun hi jaante hain
hosh-e-taht-e-shuur kitna hai
satr-dar-satr paDhne wale dekh
qissa bainassutur kitna hai
dagh hai mathe par magar 'azam'
us ke chehre pe nur kitna hai
Ghazal
Aql kitni shuur kitna hai
Dr. Azam