اردو हिंदी
Aql ki kuchh kam nahin hai rahbari mere liye | Shaahi Shayari
aql ki kuchh kam nahin hai rahbari mere liye

Ghazal

Aql ki kuchh kam nahin hai rahbari mere liye

Shauq Bahraichi

;

aql ki kuchh kam nahin hai rahbari mere liye
har taraf light hai har-su raushni mere liye

ab kahan hai husn mein wo dilkashi mere liye
rah gai hanDiyan mein KHali khurchuni mere liye

aatish-e-qahr-e-KHuda dam bhar mein kar deti hai gul
hai meri tar-damani ai aar-pi mere liye

un ke tewar mehrban un ki nigahen multafit
de rahi hai zor puri parTi mere liye

saikDon jine mein lale lakhon raKHne zist mein
kirm-KHurda ai KHuda ye zindagi mere liye

ahl-e-mahshar le gae qahr-o-ghazab sab luT kar
sirf ek rahmat KHuda ki rah gai mere liye

dil mein rang-o-roghan-e-dahqan ka rahta hai KHayal
roz-marra ganw se aata hai ghi mere liye

jab main jaanun KHidmat-e-KHalq-e-KHuda karte hain aap
DhunD dije koi aurat shaiKH-ji mere liye

shukr hai allah ka hindostan mein hai qayam
yan zananon ki nahin hai kuchh kami mere liye

'shauq' Tapka paD raha hai ru-e-jaanan se shabab
samne rakkhi hui hai ras-bhari mere liye