aql ki jaan par ban aai hai
ishq se zor-azmai hai
husn-e-za hai jamal ka pindar
husn-e-pindar KHud-numai hai
lajwanti ko hai guman-e-nazar
hum ne dekha nahin lajai hai
jins-e-dil ka na tha koi gahak
aap ne kis liye churai hai
hath yarab dua mein phailana
qat-e-ehsas-e-na-rasai hai
qahr se aKHz bhap ki taqat
husn se wasf-e-kahrubai hai
DhunDhti hain wo munfail nazren
dad mahfil se uTh ke pai hai
ishq kya jurm hai ki iKHfa ko
aap ne mushkil ye banai hai
kah rahi hai hikayat-e-taimur
lang uzr-e-shikasta-pai hai
hai hamare liye KHuda kafi
aap ke waste KHudai hai
KHalq ke husn KHalq se behtar
aap ki waz-e-kaj-adai hai
Ghazal
Aql ki jaan par ban aai hai
Syed Hamid