aql ke jal mein phansi hi nahin
zindagi aaj tak khuli hi nahin
mujh mein jita raha sada koi
zindagi apni main ne ji hi nahin
saKHt itni ana ki thi diwar
phir kisi bhi tarah giri hi nahin
main ne duniya sameT li to khula
kaam ki koi chiz thi hi nahin
chand ke sath ho gai ruKHsat
jaise wo is jahan ki thi hi nahin
jis se sairab ruh ho jati
aisi barish kabhi hui hi nahin
sainkaDon zaKHm hain zamane ke
dil mein yaadon ki ek ani hi nahin
qaid aankhon mein hai bayaban bhi
gham ke kuze mein ek nadi hi nahin
Ghazal
Aql ke jal mein phansi hi nahin
Muneer Saifi