aql har baat pe hairan hai ise kya kahiye
dil bahr haal pareshan hai ise kya kahiye
bulbulen taqat-e-guftar se mahrum huin
ab ye aain-e-gulistan hai ise kya kahiye
log kahte hain ki gulshan mein bahaar aai hai
bu-e-gul phir bhi pareshan hai ise kya kahiye
rahnuma dur bahut dur nikal aae hain
qafila rah mein hairan hai ise kya kahiye
aarzuon ne kai phul chune the lekin
zindagi KHar-badaman hai ise kya kahiye
apne mazi ki hikayat bahut KHub sahi
ab nae daur ka saman hai ise kya kahiye
sochte the ki sahar nur-badaman hogi
tirgi phir bhi numayan hai ise kya kahiye
ehtimam-e-sahar-e-nau to karenge lekin
dil abhi be-sar-o-saman hai ise kya kahiye
main ne kis haal mein dekha hai chaman ko 'shahzad'
aur dil ab bhi ghazal-KHwan hai ise kya kahiye
Ghazal
Aql har baat pe hairan hai ise kya kahiye
Shahzad Ahmad