aql hairan hai rahmat ka taqaza kya hai
dil ko taqsir ki targhib tamasha kya hai
unhen jab ghaur se dekha to na dekha un ko
maqsad us parde ka ek dida-e-bina kya hai
hum shahadat ka junun sar mein liye phirte hain
hum mujahid hain hamein maut ka khaTka kya hai
uDta phirta hun main sahra mein bagule ki tarah
kuchh nahin ilm mera malja-o-mawa kya hai
mera mansha hai ki duniya se kinara kar lun
ai gham-e-dost bata tera irada kya hai
baat pur-pech hansi lab pe shikan mathe par
dil samajhne se hai qasir ye muamma kya hai
jo teri zulf pe ja kar na khile phul wo kya
jo na uljhe tere daman se wo kanTa kya hai
ek khilta hua gulshan hai tumhaara paikar
tum tabassum hi tabassum ho tumhaara kya hai
main ne ek baat jo puchhi to bigaD kar bole
bad-gumani ke siwa aap ne sikha kya hai
wo faqiron ko nawazen na nawazen ai 'charKH'
hum dua de ke chale aaenge apna kya hai
Ghazal
Aql hairan hai rahmat ka taqaza kya hai
Charkh Chinioti