اردو हिंदी
Aqide bujh rahe hain sham-e-jaan ghul hoti jati hai | Shaahi Shayari
aqide bujh rahe hain sham-e-jaan ghul hoti jati hai

Ghazal

Aqide bujh rahe hain sham-e-jaan ghul hoti jati hai

Ali Sardar Jafri

;

aqide bujh rahe hain sham-e-jaan ghul hoti jati hai
magar zauq-e-junun ki shoala-samani nahin jati

KHuda malum kis kis ke lahu ki lala-kari hai
zamin-e-ku-e-jaanan aaj pahchani nahin jati

agar yun hai to kyun hai yun nahin to kyun nahin aaKHir
yaqin mohkam hai lekin zid ki hairani nahin jati

lahu jitna tha sara sarf-e-maqtal ho gaya lekin
shahidan-e-wafa ke ruKH ki tabani nahin jati

pareshan-rozgar aashufta-haalan ka muqaddar hai
ki us zulf-e-pareshan ki pareshani nahin jati

har ek shai aur mahngi aur mahngi hoti jati hai
bas ek KHun-e-bashar hai jis ki arzani nahin jati

ye naghma naghma-e-bedari-e-jamhur-e-alam hai
wo shamshir-e-nawa jis ki daraKHshani nahin jati

nae KHwabon ke dil mein shoala-e-KHurshid-e-mahshar hai
zamir-e-hazrat-e-insan ki sultani nahin jati

lagate hain labon par mohr arbab-e-zaban-bandi
ali-'sardar' ki shan-e-ghazal-KHwani nahin jati