aqab se war tha aaKHir main aah kya karta
kisi bhi aaD mein le kar panah kya karta
gharib-e-shahr tha aankhon mein thi ana zinda
saza-e-maut na deta to shah kya karta
mere KHulus ko jo sikka-e-gharaz samjha
main aise shaKHs se aaKHir nibah kya karta
yun us ke afw ka daman bhi dagh-dar na ho
yahi KHayal tha qasd-e-gunah kya karta
ye tar tar shab-o-roz reza reza hayat
main apne haal par aaKHir nigah kya karta
jo zindagi se na pae najat ki rahen
'shakil' us ko zamana tabah kya karta
Ghazal
Aqab se war tha aaKHir main aah kya karta
Syed Shakeel Desnavi