aqaed wahm hain mazhab KHayal-e-KHam hai saqi
azal se zehn-e-insan basta-e-auham hai saqi
haqiqat-ashnai asl mein gum-karda rahi hai
urus-e-agahi parwurda-e-ibham hai saqi
mubarak ho zaifi ko KHirad ki falsafa-rani
jawani be-niyaz-e-ibrat-e-anjam hai saqi
hawas hogi asir-e-halqa-e-nek-o-bad-e-alam
mohabbat mawara-e-fikr-e-nang-o-nam hai saqi
abhi tak raste ke pech-o-KHam se dil dhaDakta hai
mera zauq-e-talab shayad abhi tak KHam hai saqi
wahan bheja gaya hun chaak karne parda-e-shab ko
jahan har subh ke daman pe aks-e-sham hai saqi
mere saghar mein mai hai aur tere hathon mein barbat hai
watan ki sar-zamin mein bhuk se kohram hai saqi
zamana barsar-e-paikar hai pur-haul shoalon se
tere lab par abhi tak naghma-e-KHayyam hai saqi
Ghazal
Aqaed wahm hain mazhab KHayal-e-KHam hai saqi
Sahir Ludhianvi