apnon ke karam se ya qaza se
mar jaen to aap ki bala se
girti rahi rose rose shabnam
marte rahe rose rose pyase
ai rah-zadagan kahin to pahunche
munh moD gae jo rahnuma se
phir nind uDa ke ja rahe hain
taron ke ye qafile nida se
muD muD ke wo dekhna kisi ka
nazron mein wo dur ke dilase
palkon ki zara zara si larzish
paigham tere zara zara se
data hain sabhi nazar ke aage
kya mangen chhupe hue KHuda se
kya hath uThaiye dua ko
hum hath uTha chuke dua se
Ghazal
Apnon ke karam se ya qaza se
Aziz Qaisi