apnon ka ye aalam kya kahiye milte hain to beganon ki tarah
is daur mein dil be-qimat hain TuTe hue paimanon ki tarah
parwane to jal bujhte hain magar dil hain ki sulagte rahte hain
aasan to nahin jite rahna hum aise giran-jaanon ki tarah
ya shama ki lo hi maddham hai ya sard hai dil ki aag abhi
socha tha ki uD kar pahunchenge us bazm mein parwanon ki tarah
tinkon ke safine le le kar kya kya na muqabil aai KHirad
hum ahl-e-junun raqsan hi rahe biphre hue tufanon ki tarah
ya kaun-o-makan mein KHwar hue ya kaun-o-makan ki KHair nahin
jina hai to insanon ki tarah marna hai to insanon ki tarah
Ghazal
Apnon ka ye aalam kya kahiye milte hain to beganon ki tarah
Mujeeb Khairabadi