apni zamin se dur zaman-o-makan se dur
hum ne saja liya hai qafas aashiyan se dur
mana ki hum watan se azizon se dur hain
tahzib se juda hain na urdu zaban se dur
mahsur tangna-e-masalik mein hum nahin
dair-o-haram se dur hain ku-e-butan se dur
mahsus kar rahe hain wilayat mein aaj-kal
hindostan mein rahte hain hindostan se dur
soz-e-yaqin mishal-e-rah-e-hayat hai
tashkil se buland hain wahm-o-guman se dur
'sultan' asir-e-zulf hue bhi to kis ke aap
dil se bahut qarib hain aur jism-o-jaan se dur
Ghazal
Apni zamin se dur zaman-o-makan se dur
Sultan Farooqui