apni yakjai mein bhi KHud se juda rahta hun
ghar mein bikhri hui chizon ki tarah rahta hun
subh ki sair ki karta hun tamanna shab bhar
din nikalta hai to bistar mein paDa rahta hun
din o duniya se nahin hai koi jhagDa mera
yani main in se alag apni jagah rahta hun
KHwahish-e-dad nahin aur koi fariyaad nahin
ek sahra hai jahan naghma-sara rahta hun
Ghazal
Apni yakjai mein bhi KHud se juda rahta hun
Sabir Zafar