apni uljhan ko baDhane ki zarurat kya hai
chhoDna hai to bahane ki zarurat kya hai
lag chuki aag to lazim hai dhuan uTThega
dard ko dil mein chhupane ki zarurat kya hai
umr bhar rahna hai tabir se gar dur tumhein
phir mere KHwab mein aane ki zarurat kya hai
ajnabi rang chhalakta ho agar aankhon se
un se phir hath milane ki zarurat kya hai
aaj baiThe hain tere pas kai dost nae
ab tujhe dost purane ki zarurat kya hai
sath rahte ho magar sath nahin rahte ho
aise rishte ko nibhane ki zarurat kya hai
Ghazal
Apni uljhan ko baDhane ki zarurat kya hai
Nadeem Gullani