apni to mohabbat ki itni si kahani hai
TuTi hui kashti hai Thahra hua pani hai
ek phul kitabon mein dam toD gaya lekin
kuchh yaad nahin aata ye kis ki nishani hai
bikhre hue pannon se yaaden si jhalakti hain
kuchh teri kahani hai kuchh meri kahani hai
sawan ki bahaaron mein naghma hain na jhule hain
aakash ki aankhon mein rota hua pani hai
chehron ki kitabon mein alfaz nahin hote
har ek shikan KHud mein ek puri kahani hai
chehron se to lagta hai sab bhul ke baiThe hain
hum sirf musafir hain ek raat bitani hai
mana ki inhen ek hi jhonke ne giraya hai
har TuTte patte ki apni hi kahani hai

Ghazal
Apni to mohabbat ki itni si kahani hai
Musavvir Firozpuri