apni tanhai mere nam pe aabaad kare
kaun hoga jo mujhe us ki tarah yaad kare
dil ajab shahr ki jis par bhi khula dar is ka
wo musafir ise har samt se barbaad kare
apne qatil ki zehanat se pareshan hun main
roz ek maut nae tarz ki ijad kare
itna hairan ho meri be-talabi ke aage
wa qafas mein koi dar KHud mera sayyaad kare
salb-e-binai ke ahkaam mile hain jo kabhi
raushni chhune ki KHwahish koi shab-zad kare
soch rakhna bhi jaraem mein hai shamil ab to
wahi masum hai har baat pe jo sad kare
jab lahu bol paDe us ke gawahon ke KHilaf
qazi-e-shahr kuchh is bab mein irshad kare
us ki muTThi mein bahut roz raha mera wajud
mere sahir se kaho ab mujhe aazad kare
Ghazal
Apni tanhai mere nam pe aabaad kare
Parveen Shakir