apni talab ka nam Dubone kyun jaen mai-KHane tak
tishna-labi ka ek dariya hai shishe se paimane tak
husn o ishq ka soz-e-talluq samton ka paband nahin
akasr to KHud shama ka shoala baDh ke gaya parwane tak
rah-e-talab ke pech-o-KHam ka andaza aasan nahin
ahl-e-KHirad kya chiz hain rasta bhul gae diwane tak
saqi ko ye KHush-fahmi thi hum tak mauj na aaegi
pyas ka jab paimana chhalka Dub gae mai-KHane tak
miTTi se jab phul khilae kar-e-junun ki mehnat ne
shahr kuchh is andaz se phaile ja pahunche virane tak
zaKHm-e-hunar ka rang salamat sab ko KHabar ho jaegi
kitne chehre hum ne tarashe hath qalam ho jaane tak
is ghurbat ki dhup mein 'shair' apnon ka saya bhi na tha
jis ghurbat ki dhup mein hum ko yaad aae begane tak
Ghazal
Apni talab ka nam Dubone kyun jaen mai-KHane tak
Shaayar Lakhnavi