apni takmil kar raha hun main 
us gali mein bikhar raha hun main 
jitna jitna jhuka raha hun sar 
utna utna ubhar raha hun main 
ek sahifa hun aasmanon ka 
aur zamin par utar raha hun main 
gardish-e-waqt rokni hai mujhe 
is liye raqs kar raha hun main 
qais ke bhi qadam nahin hain jahan 
us jagah se guzar raha hun main 
puchh lo mujh se aasman ke raaz 
kuchh dinon tak udhar raha hun main
        Ghazal
Apni takmil kar raha hun main
Arif Imam

