apni tahzib ki diwar sambhaale hue hain
mere bachche mera ghar-bar sambhaale hue hain
tu ne kuchh bhi na diya hum ko aziyyat ke siwa
zindagi hum tujhe bekar sambhaale hue hain
koi aata nahin ab un ki qadam-bosi ko
donon hathon se wo dastar sambhaale hue hain
waqt se aage nikal jaenge jab chahenge
dil-girafta abhi raftar sambhaale hue hain
muflisi jhankti hai rauzan o dar se lekin
hum larazti hui diwar sambhaale hue hain
ye bhi ek turfa tamasha hai KHuda-wand-e-jahan
teri duniya ko gunahgar sambhaale hue hain
faqa-masti mein bhi jite hain ba-aghaz-e-junun
zindagi hum tera pindar sambhaale hue hain
aabdida kabhi hone nahin dete 'aKHtar'
mujh ko ab tak mere gham-KHwar sambhaale hue hain
Ghazal
Apni tahzib ki diwar sambhaale hue hain
Sultan Akhtar