apni tadbir na taqdir pe rona aaya
dekh kar chup teri taswir pe rona aaya
kya hasin KHwab mohabbat ne dikhae the hamein
jab khuli aankh to tabir pe rona aaya
ashk bhar aae jo duniya ne sitam dil pe kiye
apni luTti hui jagir pe rona aaya
KHun-e-dil se jo likha tha wo miTa ashkon se
apne hi name ki tahrir pe rona aaya
jab talak qaid the taqdir pe hum rote the
aaj TuTi hui zanjir pe rona aaya
rah-e-hasti pe chala maut ki manzil pe mila
hum ko is rah ke rahgir pe rona aaya
jo nishane pe laga aur na palaT kar aaya
hum ko 'naushad' usi tir pe rona aaya
Ghazal
Apni tadbir na taqdir pe rona aaya
Naushad Ali