apni surat ko badalna hi nahin chahta main
ab kisi sanche mein Dhalna hi nahin chahta main
tum agar mujh se mohabbat nahin karte na sahi
aisi baaton se bahalna hi nahin chahta main
ya mere panw mein quwwat hi nahin hai itni
ya teri rah pe chalna hi nahin chahta main
sunta rahta hun sadaen teri dastak ki magar
apne kamre se nikalna hi nahin chahta main
ye bhi sach hai ki sambhalna hai zaruri mera
ye bhi sach hai ki sambhalna hi nahin chahta main
Ghazal
Apni surat ko badalna hi nahin chahta main
Sarfraz Khalid