apni sachchai ka aazar jo pale hue hain
KHud ko hum gardish-e-afat mein Dale hue hain
band muTThi mein jo KHushbu ko sambhaale hue hain
ye samajhte hain ki tufan ko Tale hue hain
hain to aabaad magar dar-badari ki zad par
wo bhi meri hi tarah ghar se nikale hue hain
apni raftar se aage bhi nikal sakta hun
mujh pe kab hawi mere panw ke chhaale hue hain
ab kisi bab-e-samaat pe na dastak denge
dafn sahra ki fazaon mein jo nale hue hain
surKH-ru jo hai wo mera koi ham-zad hai kya
nok-e-neza pe wo sar kis ka uchhaale hue hain
un ke shane hain har ek bar-e-garan se KHali
ab wo dastar nahin sar ko sambhaale hue hain
waza ka pas bhi rakhne ke rahe ahl kahan
KHud ko hum aur kisi sanche mein Dhaale hue hain
us ki KHushbu se tilismat ka dar khulne laga
dida-o-dil qad-o-gesu ke hawale hue hain
Ghazal
Apni sachchai ka aazar jo pale hue hain
Arman Najmi