apni sansen meri sanson mein mila ke rona 
jab bhi rona mujhe sine se laga ke rona 
qaid-e-tanhai se nikla hun abhi jaan-e-safar 
mujh se milna mujhe zulfon mein chhupa ke rona 
itna saffak na tha ghar ka ye manzar pahle 
teri yaadon ke charaghon ko bujha ke rona 
hum ne is tarah bhi kaTi hain bahut si raaten 
dil ke KHush rakhne ko afsane suna ke rona 
kitne be-dard hain is des mein rahne wale 
apne hathon tujhe suli pe chaDha ke rona 
gham-e-dauran ne tere lutf ki mohlat hi na di 
ye bhi hona tha sar-e-shab tujhe pa ke rona
        Ghazal
Apni sansen meri sanson mein mila ke rona
Safdar Saleem Sial

