apni ruswai ka ehsas to ab kuchh bhi nahin
honT hi sun hain KHamoshi ka sabab kuchh bhi nahin
ye ujalon ke jazire ye sarabon ke dayar
sehr-o-afsun ke siwa jashn-e-tarab kuchh bhi nahin
bah gae waqt ke sailab mein jismon ke suhag
ab na wo chashm na ruKHsar na lab kuchh bhi nahin
reza reza hai kisi KHwab-e-zar-afshan ka tilism
fasl-e-gul anjum-o-mahtab ye sab kuchh bhi nahin
mere aansu inhen karte hain ujagar kuchh aur
pahle jo log sabhi kuchh the aur ab kuchh bhi nahin
hum pe to subh se raushan thi ye sham-e-be-kaif
tum ko is sham se andaza-e-shab kuchh bhi nahin
shahr-e-dil shahr-e-KHamoshan ki tarah hai gunjaan
kitna aabaad magar shor-o-shaghab kuchh bhi nahin
ye jahan aalam-e-asbab hai nadan na bano
kaun manega tabahi ka sabab kuchh bhi nahin
rang-o-bu gul se mukar jaen to rahta kya hai
aag bujh jae to suraj ka laqab kuchh bhi nahin
KHol hi KHol hai nau-KHez dabistan-e-KHayal
shor hi shor hai taKHliq-e-adab kuchh bhi nahin
gum raho gum ki yahan jurm hai izhaar-e-kamal
chup raho chup ki yahan nam-o-nasab kuchh bhi nahin
meri taKHrib se yaron ka bhala kya hoga
meri punji to ba-juz zauq-e-adab kuchh bhi nahin
us taraf wa hai dar-e-rahmat-e-yazdan 'danish'
is taraf wusat-e-daman-e-talab kuchh bhi nahin
Ghazal
Apni ruswai ka ehsas to ab kuchh bhi nahin
Ehsan Danish