apni qismat ka sitara sar-e-mizhgan dekha
aaj hum ne asar-e-jazba-e-pinhan dekha
ab kise DhunD rahi hai nigah-e-naz bata
hasil-e-jaur mere zud-pasheman dekha
jo satata hai wahi dil mein jagah pata hai
ye mohabbat mein nai tarz ka arman dekha
ab ye shikwa hai wo pahli si ghaTaen hi nahin
hum na kahte the na kar zulf-e-pareshan dekha
shikwa aasan tha ab us ki pashemani hai
kin nigahon se tumhein sar-ba-gareban dekha
apne marne ka nahin gham ye malal aata hai
kyun zamane ne tumhein baal-e-pareshan dekha
raat aati hai to kha kar usi gesu ki qasam
hum ne 'talib' ka muqaddar shab-e-hijran dekha
Ghazal
Apni qismat ka sitara sar-e-mizhgan dekha
Talib Baghpati